Khudaya Ishqe Muhammad Me Wo Muqaam Aaye
Khudaya Ishqe Muhammad Me Wo Muqaam Aaye
Khudaya Ishqe Muhammad Me Wo Muqaam Aaye
Ke Saans Baad Me Pehle Nabi Ka Naam Aaye.
Ghulam Banke Madine Me Aaj Tak Jo Gaya
Kabhi Ye Ho Nahi Sakta Ke Wo Nakaam Aaye.
Mera Gada Mera Naukar Mera Ghulaam Aaye
Khuda Kare Kabhi Taiba Se Ye Payaam Aaye.
Nabi Ki Aal Se Ulfath Inaam -E- Qudrath Hai
Hamari Aal Ki Qismat Me Ye Inaam Aaye.
Ghulame Panjatane Paak Pe Kabhi Maula
Dukhon Ki Dhoop Na Aaye Na Gham Ki Shaam Aaye.
Mai Takht -O- Taaj Ko Thokar Pe Apni Rakhta Hoon
Bas Uss Gali Ke Faqeeron Me Mera Naam Aaye.
Meri Hayaat Ke Lamhe Basar Ho Aise Ziya
Kabhi Durood Ho Lab Par Kabhi Salaam Aaye.