Ya Nabi Sab Karam Hai Tumhara

Ya Nabi Sab Karam Hai Tumhara

Ya Nabi Sab Karam Hai Tumhara
Ye Jo Waare Niyaare Hue Hain
Ab Kami Ka Tasawwur Bhi Kaisa
Jab Se Mangte Tumhare Hue Hain.

Door Hone Ko Hai Ab Ye Doori
Unki Choukhat Pe Hogi Huzoori.
Khwab Me Mujhko Aaqa Ke Dar Se
Haazri Ke Ishaare Hue Hain.

Koi Mu Na Lagata Tha Hamko
Paas Tak Na Bithata Tha Hamko
Jab Se Thaama Hai Daman Tumhara
Duniya Waale Hamare Hue Hain.

Unke Darbar Me Jab Bhi Maine
Panjatan Ke Waseele Se Maanga
Mujhko Khairat Fauran Mili Hai
Khoob Mere Guzaare Hue Hain.

Hashr Ke Roz Jab Mere Aaqa
Ummati Ki Shafa'at Karenge
Rab Kahega Unhe Maine Baqsha
Jo Deewane Tumhare Hue Hain.

Chahta Hai Agar Nek Naami
Aale Zahra Ki Karle Ghulami
Jinke Nisbath Se Zahid Niyazi
Pur Sukoon Gham Ke Maare Hue Hain.