Ek Baar Madine Me Hojaye Mera Jaana

Ek Baar Madine Me Hojaye Mera Jaana

Ek Baar Madine Me Hojaye Mera Jaana
Phir Aur Na Kuch Maange Sarkar Ka Deewana.

Pal Pal Mera Dil Tadpe Din Raat Kare Zaari
Kab Aaun Madine Me Kab Aaye Meri Baari
Kab Jaake Mai Dekhunga Darbar Wo Shahana.

Iss Aas Pe Jeeta Hoon Ek Roz Bulayeinge
Aur Gumbade Khazra Ka Deedar Karayeinge
Phir Pesh Karunga Mai Ashkon Bhara Nazrana.

Bechain Nigahon Ko Deedar Ataa Kardo
Daman Mera Khushiyon Se Ya Shahe Umam Bhardo
Aabad Khuda Rakhe Aaqa Tera Maikhana.

Itni Si Tamanna Hai Hojaye Agar Poori
Jaa Dekhun Madina Mai Hojaye Jo Manzoori
Bin Deed Kiye Shaha Marjaye Na Deewana.