Ye Bargaahe Khwaja -E- Bandanawaz Hai

Ye Bargaahe Khwaja -E- Bandanawaz Hai

Ye Bargaahe Lutf -O- Inayath Me Aagaye
Banda Nawaz Ke Saayae Rehmath Me Aagaye
Rahath Dayaare Syed Muhammad Ki Kuch Kaifiyath Na Pooch
Mehsoos Horaha Hai Ke Jannat Me Aagaye.

Ye Bargaahe Khwaja -E- Bandanawaz Hai
Iss Dar Pe Jiska Sar Hai Wohi Sarfaraz Hai.

Dekhe Agar Koi Nigahe Imtiyaz Hai
Iss Shaan Ka Ye Sayyade Gesu Daraaz Hai.

Parwaaze Aql Ka Hai Tasawwur Wahan Ghalat
Iss Aalame Buland Ka Wo Shahbaaz Hai.

Dekho Wo Mehwe Khwab Hain Phoolon Ki Sejh Par
Nisbath Pe Jiski Aaj Hazaaron Ko Naaz Hai.