Raushni Aankhon Ne Paayi Unka Jalwa Dekhkar
Raushni Aankhon Ne Paayi Unka Jalwa Dekhkar
Kalaam of Pasha Miyan
Raushni Aankhon Ne Paayi Unka Jalwa Dekhkar
Aagaye Manzil Pe Ham Naqshe Kafe Paa Dekhkar
Jab Se Aaya Hoon Mai Sehraye Madina Dekhkar
Dil Sukoon Paata Nahi Gulshan Kahin Ka Dekhkar.
Margaye Be Maut Ham Jab Waqte Pursish Aagaya
Jaan Me Jaan Aagayi Aaqa Ko Aata Dekh Kar.
Unke Sadqe Me Yaqeenan Ham Bhi Baqshe Jayenge
Wo Sukoon Payenge Kaise Ham Ko Rota Dekhkar.
Hoon Fidaye Mustafa Shaidaye Mazagh Al Basar
Kisko Dekhun Jalwaye Sarkare Bat'ha Dekhkar.
Karrahe Hain Rashk Sab Aarif Meri Taqdeer Par
Daamane Dil Me Mere Aaqa Ka Sadqa Dekhkar.