Huzoor Jaante Hain

Huzoor Jaante Hain

Kalaam of Owais Raza Quadri

Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga, Huzoor Jaante Hain
Teri Ataa Se Khudaya, Huzoor Jaante Hain.

Wo Mominon Ki To Jaanon Se Bhi Qareeb Hue
Kahan Se Kis Ne Pukara, Huzoor Jaante Hain.

Haran Ye Kehne Lagi Chor De Mujhe Sayyad
Mai Laut Aaungi Wallah, Huzoor Jaante Hain.

Haran Ne Oonth Ne Chidiyon Ne Ki Yehi Faryad
Ke Unki Gham Ka Madawa, Huzoor Jaante Hain.

Khuda Ko Dekha Nahi Aur Ek Maanliya
Ke Jaante The Sahaba, Huzoor Jaante Hain.

Munafiqon Ka Aqeeda Wo Ghaib Daan Nahin
Sahabiyon Ka Aqeeda, Huzoor Jaante Hain.

Aye Ilme Ghaib Ke Munkir Khuda Ko Dekha Hai
Tujhe Bhi Kehna Padega, Huzoor Jaante Hain.

Khabar Bhi Hai, Ke Khabar Sab Ki Hai Unhe Kab Se
Ke Jab Na Ab Tha Na Kab Tha, Huzoor Jaante Hain.

Isiliye To Sulaya Hai Apne Pehlu Me
Ke Yaare Ghaar Ka Rutba, Huzoor Jaante Hain.

Umar Ne Tan Se Juda Kardiya Tha Sar Jiska
Wo Apna Hai Ke Paraya, Huzoor Jaante Hain.

Wohi Hai Paikare Sharm -O- Haya Wo Zun'nurain
Maqaam Unki Haya Ka Huzoor Jaante Hain

Nabi Ka Faisla Na Maan Kar Wo Jaan Se Gaya
Mizaaj Umar Ka Hai Kaisa, Huzoor Jaante Hain.

Hain Jiske Maula Huzoor Uske Hain Ali Maula
Abu Turaab Ka Rutba, Huzoor Jaante Hain.

Ye Khud Shaheed Hain Beta Nawasa Potey Shaheed
Ali Ki Shaane Yagana, Huzoor Jaante Hain.

Mai Unki Baat Karun Ye Nahi Meri Auqaat
Ke Shaane Fatima Zahra, Huzoor Jaante Hain.

Chupa Rahe Hain Lagataar Mere Aibon Ko
Mai Kis Qadar Hoon Kamina, Huzoor Jaante Hain.

Khuda Hi Jaane Ubaid Unko Hai Pata Kya Kya
Hame Pata Hai Bas Itna, Huzoor Jaante Hain…