Ek Najr Karam Ki Ho Daasi Par

Ek Najr Karam Ki Ho Daasi Par

Ek Najr Karam Ki Ho Daasi Par
Tum Ho Dhanwaan Nijamuddin
Ho Ganje Shakar Ka Sadqa Ab
Mujhko Bhi Daan Nijamuddin.

Bekal Hoon Laaj Nibha Dena
Mohe Deed Ka Jaam Pila Dena
Tora Maikhana Aabad Rahe
Saaqi Sultan Nijamuddin.

Iss Paapan Me Koi Gun Hai Kahan
Tori Daasi Hoon Kar Daan Amaan
Sun Dukhiya Ki Bhi Kahani Ab
Waliyan Ki Jaan Nijamuddin.

Tore Dar Par Aan Padi Khwaja
Hai To Se Aas Badi Khwaja
Tore Baiyyan Padath Hoon Ya Khwaja
Mora Rakhiyo Dhyaan Nijamuddin.

Do Sadqa Peer Fareedan Ka
Do Sadqa Qutub Dulaare Ka
Tu Laadla Khwaja Moin Ka Hai
Rakh Lijo Maan Nijamuddin.

Tu Nabi Ka Raaj Dulaara Hai
Tu Ali Ki Aankh Ka Taara Hai
Mohe Apne Hi Rang Me Rang Lijo
Kardo Ehsaan Nijamuddin.

Sab Waliyan To Se Pyaar Karein
Tori Shaan Ka Sab Iqraar Karein
Waliyan Ka Beshak Rab Ne Kiya
Tujhko Pardhaan Nijamuddin.