Mujhko Taiba Me Bulaalo Shaahe Zamani
Mujhko Taiba Me Bulaalo Shaahe Zamani
Mujhko Taiba Me Bulaalo Shaahe Zamani
Shaahe Zamani Aaqa Makki Madani
Dil Ki Hasrath Ye Nikaalo Shaahe Zamani.
Nagar Nagar Aur Dagar Dagar Phirta Hoon Maara Maara
Mujh Dukhiya Ka Iss Duniya Me Koi Nahi Sahara
Tum Hi Seene Se Lagaalo Shaahe Zamani.
Teri Ziyarath Ke Hain Talib Kardo Door Ye Doori
Hame Dikhado Apna Jalwa Hasrath Ho Ye Poori
Chehra Noorani Dikhado Shaahe Zamani.
Rote Rote Umr Guzaari Milan Ki Shaam Na Aayi
Kya Mere Aaqa Aapko Meri Ada Pasand Na Aayi
Phir Kyun Tumne Der Lagayi Shaahe Zamani.
Hariyale Gumbad Ka Manzar Jannat Se Hai Pyaara
Kaabe Ka Kaaba Hai Rauza Pyaare Nabi Tumhara
Jaali Rauze Ki Dikhado Shaahe Zamani.