Iss Qadar Kaun Muhabbath Ka Sila
Iss Qadar Kaun Muhabbath Ka Sila
Iss Qadar Kaun Muhabbath Ka Sila Deta Hai
Uska Banda Hoon Jo Bande Ko Khuda Deta Hai.
Uske Irshad Se Mujhpar Mere Asraar Khule
Ke Wo Har Lafz Me Aayina Dikha Deta Hai.
Wohi Sar Saaz Karega Mere Veeranon Ko
Aandhiyon Ko Bhi Jo Kirdaare Saba Deta Hai.
Qadam Uthte Hain Mere Jaanibe Bat'ha Jab Bhi
Ek Farishta Mujhe Shahpar Ki Hawa Deta Hai.
Qasr -O- Aiwaan Se Guzarjaata Hai Chup Chaap Nadeem
Dar Muhammad Ka Jab Aaye To Sada Deta Hai.