Ye Chap Ye Saj Dhaj Ye Jalwa Tera
Ye Chap Ye Saj Dhaj Ye Jalwa Tera
Kalaam of Hz Naatiq R.a
Ye Chap Ye Saj Dhaj Ye Jalwa Tera
Baanke Miyan More Khwaja Miyan
Jisne Bhi Dekha Wo Shaida Hua
Baanke Miyan More Khwaja Miyan.
Chamke Hain Yoon To Sitare Bohot
Dekhe Hain Ham Ne Nazare Bohot
Sab Se Nirala Hai Naqsha Tera
Baanke Miyan More Khwaja Miyan.
Jholi To Uski Na Khaali Rahi
Hajat Na Usko Kisi Ki Rahi
Sadqe Me Jo Tere Palta Raha
Baanke Miyan More Khwaja Miyan.
Kaisa Hi Sarkash Jo Aaya Yahan
Tujhse Nazar Bas Milaya Jahan
Dam Bhar Me Wo Kya Se Kya Hogaya
Baanke Miyan More Khwaja Miyan.
Jhoomte Aaya Jo Naatiq Yahan
Kehne Laga Usko Saara Jahan
Baanke Miyan Ka Hai Baanka Gada
Baanke Miyan More Khwaja Miyan.