Phir Ke Gali Gali Tabah
Phir Ke Gali Gali Tabah
Phir Ke Gali Gali Tabah
Thokarein Sabki Khayein Kyun
Dil Ko Jo Aql De Khuda
Teri Gali Se Jaayein Kyun.
Rukhsate Khafila Ka Shor
Ghash Se Hamein Uthaye Kyu
Sote Hain Unke Saaye Me
Koi Hamein Jagaye Kyun.
Yaade Huzoor Ki Qasam
Ghaflat -E- Aish Hai Sitham
Khoob Hai Qaide Gham Me Ham
Ki Hamein Churaaye Kyun.
Jaan Hai Ishqe Mustafa
Roz Fizoo Kare Khuda
Jisko Ho Dard Ka Maza
Naaze Dawa Uthaye Kyun.
Sange Dare Huzoor Se
Hamko Khuda Na Sabr De
Jaana Hai Sar Ko Jaa Chuke
Dil Ko Qaraar Aaye Kyun.
Hai To Raza Niraa Sitham
Jurm Pe Gar Lagayein Ham
Koi Bajaaye Soze Gham
Saaze Tarab Bajaaye Kyun.