Aa Tujhko Bataun Mai Irfaane Abu Talib

Aa Tujhko Bataun Mai Irfaane Abu Talib

Aa Tujhko Bataun Mai Irfaane Abu Talib
Kaunain Me Phaila Hai Faizane Abu Talib.

Chalees Baras Jiski Har Aan Tilawat Ki
Chehraye Muhammad Hai Qurane Abu Talib.

Islam Ki Khaatir Sab Qurban Gharana Hai
Hasnain -O- Ali Jafar Pehchane Abu Talib.

Sarkare Risalath Par Qurban Mai Hojaun
Taa Zeest Ye Tha Ek Hi Armaan -E- Abu Talib.

Bacchon Ka Lahu Dekar Parwaan Chadhaya Hai
Hai Deene Muhammad Par Ehsan -E- Abu Talib.

Tu Shaibe Abu Talib Par Ghour To Kar Sayyad
Sarkaar Ki Qidmat Hai Imaan -E- Abu Talib.