Jab Nigahon Me Shahe Kaunain Ka Jalwa Na Tha

Jab Nigahon Me Shahe Kaunain Ka Jalwa Na Tha

Kalaam of Raza -ul- Haq

Jab Nigahon Me Shahe Kaunain Ka Jalwa Na Tha
Kya Nahi Dekha Tha Bas Allah Ko Dekha Na Tha.

Lamha Bhar Ko Jo Ho Ojhal Wo Na Tha Tera Jamaal
Jo Nazar Aaye Kisi Ko Wo Tera Saaya Na Tha.

Jalwa Gaahe Naaz Par Ahle Nazar Ka Tha Hujoom
Jab Wo Darwaza Khula To Dekhne Waala Na Tha.

Aankh Waale Iss Jahan Me Aaye The Ye Dekhne
Unke Jalwon Ke Siwa Bhi Tha Yahan Kuch Ya Na Tha.

Kab Mere Kashkol Me Tukde Tere Dar Ke Na The
Kab Mere Sar Par Teri Deewar Ka Saaya Na Tha

Wo Safe Paighambaran Ya Ummaton Ke Karwaan
Kaunsi Mehfil Thi Jis Mehfil Me Wo Tanha Na Tha.

Unse Maanga Tha Unhi Ko Do Jahan Maange Na The
Isliye Unke Gada Ne Haath Phailaya Na Tha.

Wo Tha Aaghaz -E- Safar Manzil Na Thi Meri Raza
Saamne Kaaba tha Mere Gumbade Khazra Na Tha.