Aankhon Ka Taara Naame Muhammad

Aankhon Ka Taara Naame Muhammad

Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
Dil Ka Ujaala Naame Muhammad.

Puchega Maula Laaya Hai Kya Kya
Mai Ye Kahunga Naame Muhammad.

Allahu Akbar Dono Rabbul Ulaa Ne
Har Shai Pe Likha Naame Muhammad.

Daulat Jo Chaaho Dono Jahan Ki
Karlo Wazifa Naame Muhammad.

Shaida Na Ho Kyun Ispar Musalman
Rab Ko Hai Pyaara Naame Muhammad.

Salle Alaa Ka Sehra Sajaa Kar
Dulha Banaya Naame Muhammad.

Rakho Lahad Me Jis Dam Azeezon
Padhkar Sunana Naame Muhammad.

Paayi Muradein Dono Jahan Me
Jisne Pukaara Naame Muhammad.

Padhti Duroodein Daudengi Hoorein
Laasha Jo Lega Naame Muhammad.

Rauze Qayamath Mizaan -E- Pul Par
Dega Sahara Naame Muhammad.

Aankhon Me Aakar Dil Me Samakar
Rangat Rachajaa Naame Muhammad.

Beda Tabahi Me Aagaya Hai
Dede Sahara Naame Muhammad.