Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale

Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale

Kalaam of Bedam Warsi Sahab

Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale
Tujhpe Sau Jaan Se Qurban Madine Waale.

Baais -E- Arzo Sama Saahibe Laulaak -O- Lama
Ayine Haq Surate Insaan Madine Waale.

Bharde Bharde Mere Aaqa Meri Jholi Bharde
Ab Na Rakh Be Saro Samaan Madine Waale.

Kal Ke Matloob Ka Mehboob Hai Mashooq Hai Tu
Allah Allah Re Teri Shaan Madine Waale.

Aade Aati Hai Teri Zaat Har Ek Dukhiya Ke
Meri Mushkil Bhi Ho Aasan Madine Waale.

Phir Tamanna -E- Ziyarath Ne Kiya Dil Bechain
Phir Madine Ka Hai Armaan Madine Waale.

Dil Bhi Mushtaqe Shahadath Hai Kamandaare Arab
Iss Taraf Bhi Koi Paikaan Madine Waale.

Tera Dar Chor Ke Jaaun To Kahan Jaaun Mai
Mere Aaqa Mere Sultan Madine Waale.

Sabz Gumbad Ki Fazaon Me Bulalo Mujhko
Tera Ghafil Hai Pareshan Madine Waale.

Likhde Likhde Meri Qismat Me Madina Likhde
Hai Teri Milk Qalamdaan Madine Waale.

Sage Taiba Mujhe Sab Kehke Pukaare Bedam
Yehi Rakhein Meri Pehchaan Madine Waale.