Jo Saba Madine Pohonche

Jo Saba Madine Pohonche

Kalaam of Waasiq

Jo Saba Madine Pohonche To Adab Se Ye Sunana
Hai Phansi Bhanwar Me Kashti Ise Ya Nabi Bachana.

Kabhi Apna Rukh Dikhana Kabhi Khwab Me To Aana
Mera Baqt Sogaya Hai Shahe Deen Isse Jagana.

Mere Saqiya Mai Qurban Tera Maikada Salamath
Hasnain Ka Tasadduq Mujhe Jaam Ek Laana.

Mujhe Maut Aaye Jis Dam Rahe Rubaru Wo Rauza
Mere Afu Ka Ho Baais Dare Mustafa Pe Jaana.

Meri Tujhko Hai Wasiyyat Pase Marg Mere Hamdam
Dare Paake Mustafa Par Mujhe Khaak Me Milana.

Dame Wapasi Pe Mere Nazre Karam Ho Itni
Rukhe Paak Apna Mujhko Shahe Ambiya Dikhana.

Ye Gunahgar Waasiq Hai Pada Hua Daccan Me
Isse Paas Jald Apne Shahe Do Sara Bulana.