Hai Naam Jinka Ahmede Zeeshan

Hai Naam Jinka Ahmede Zeeshan

Kalaam of Bedam Warsi Sahab

Hai Naam Jinka Ahmede Zeeshan Tumhi To Ho
Jinka Laqab Hi Faqre Rasoolan Tumhi To Ho.

Khalqat Hai Jinke Naam Pe Qurban Tumhi To Ho
Sab Marrahe Hain Jinpe Meri Jaan Tumhi To Ho.

Rashke Maseeh Fakhre Sulaiman Tumhi To Ho
Aashiq Hi Jinka Khaliqe Yazdaan Tumhi To Ho.

Jinke Malak Hain Taaba -E- Farmaan Tumhi To Ho
Kehte Hain Jinko Qiblaye Imaan Tumhi To Ho.

Pehchan Kar Kahunga Nabi Se Mazaar Me
Bedam Hoon Jinka Mai Wo Meri Jaan Tumhi To Ho.