Zahe Muqaddar Huzoore Haq Se

Zahe Muqaddar Huzoore Haq Se

Zahe Muqaddar Huzoore Haq Se
Salaam Aaya Payaam Aaya
Jhukao Nazrein Bichao Palkein
Adab Ka Aali Maqaam Aaya.

Ye Kaun Sar Se Kafan Lapete
Chala Hai Ulfath Ke Raaste Par
Farishte Hairath Se Tak Rahe Hain
Ye Kaun Zi Ehteraam Aaya.

Faza Me Labbaik Ki Sadaen
Zah Farishta Arsh Goonjti Hai
Har Ek Qurban Horaha Hai
Zabaan Pe Ye Kiska Naam Aaya.

Ye Raahe Haq Hai Sambhal Ke Chalna
Yahan Hai Manzil Qadam Qadam Par
Pohonchna Dar Par To Kehna Aaqa
Salaam Lije Ghulaam Aaya.

Ye Kehna Aaqa Bohot Se Aashiq
Tadapte Se Chor Aaya Hoon Mai
Bulawe Ke Muntazir Hai Lekin
Na Subho Aaya Na Shaam Aaya.

Dua Jo Nikli Thi Dil Se Aaqir
Palat Ke Maqbool Ho Ke Aayi
Wo Jazba Jisme Tadap Thi Sacchi
Wo Jazba Aaqir Ko Kaam Aaya.

Khuda Tera Hafizo Nighebaan
O Raahe Bat'ha Ko Jaane Waale
Nabi De Sad Inbisaat Bankar
Payaame Darus Salaam Aaya.