Yaad Jab Mujhko Madine Ki Faza Aati Hai
Yaad Jab Mujhko Madine Ki Faza Aati Hai
Yaad Jab Mujhko Madine Ki Faza Aati Hai
Saans Leta Hoon To Jannat Ki Hawa Aati Hai.
Daware Hashr Ne Ye Kehke Mujhe Baqsh Diya
Khoob Tujhko Mere Pyaare Ki Sana Aati Hai.
Rauzae Paak Pe Sab Zabte Nafas Karte Hain
Iss Gulistaan Me Dabe Paaun Hawa Aati Hai.
Farsh Par Hota Hai Jab Zikre Rasoole Akram
Arshe Haq Se Bhi Duroodon Ki Sada Aati Hai.
Ghame Ahmad Me Mere Dil Se Nikalta Hai Dhuwan
Ya Umandti Hui Khible Se Ghata Aati Hai.
Hoon Ghulamane Muhammad Ke Ghulamon Ka Ghulaam
Khaak Hoon Khaak Ko Bichne Ki Adaa Aati Hai.