Dard -O- Aalaam Ke Maare Hue Kya Dete Hain

Dard -O- Aalaam Ke Maare Hue Kya Dete Hain

Dard -O- Aalaam Ke Maare Hue Kya Dete Hain
Ham To Bas Unki Nigahon Ko Dua Dete Hain.

Jo Bhi Mujrim Mere Sarkar Ke Daman Me Chupe
Arsh Waale Use Jannat Ki Hawa Dete Hain.

Aql Waalon Ke Naseebon Me Kahan Zauqe Junoon
Ishq Waale Hain Jo Har Cheez Luta Dete Hain.

Allah Allah Kiye Jaane Se Allah Na Mile
Allah Waale Hain Jo Allah Se Mila Dete Hain.

Banda Banna Hai Khuda Ka To Gada Ban Unka
Jo Faqeeron Ko Shahinshah Bana Dete Hain.

Yaad Aati Hai Madine Ki Zahoori Jab Bhi
Chand Aansu Shabe Furqat Me Baha Dete Hain.