Dedo Kuch Aaj Sadqa Utaara
Dedo Kuch Aaj Sadqa Utaara
Kalaam of Waasiq
Dedo Kuch Aaj Sadqa Utaara
Shaha Aabad Gulshan Tumhara.
More Baanke Dulaare Sawariya
Tumri Kirpa Ki Bas Ek Najariya
Sunlo Maroza Itna Hamara
Shaha Aabad Gulshan Tumhara.
Apni Chahat Me Deewana Kardo
Aap Aisa Tamasha Dikhado
Saara Maikhana Hai Jagmagaya
Shaha Aabad Gulshan Tumhara.
Aap Ghousul Wara Aap Khwaja
Noore Wehdath Ka Ek Tamasha
Fil Haqeeqat Jo Dekha Sunaya
Shaha Aabad Gulshan Tumhara.
Tumra Waasiq Tumhara Bhikari
Asl Me Banke Aaya Hai Jogi
Dedo Kuch Aaj Sadqa Utaara
Shaha Aabad Gulshan Tumhara.