Paseene Ko Paakar Hawa -E- Madina
Paseene Ko Paakar Hawa -E- Madina
Kalaam of Saifi
Paseene Ko Paakar Hawa -E- Madina
Bohot Hai Muattar Hawa -E- Madina.
Mareezaan -E- Aalam Shifa Paarahe Hain
Dawa Se Hai Badhkar Hawa -E- Madina.
Bikheri Hai Rangat Hari Jaaliyon Ki
Chali Hai Jo Chukar Hawa -E- Madina.
Hawa Jannaton Ki Ye Kehti hai Saifi
Hai Hamse Bhi Behtar Hawa -E- Madina.