Jo Dil Se Unki Zaat Pe Qurban Hogaya
Jo Dil Se Unki Zaat Pe Qurban Hogaya
Jo Dil Se Unki Zaat Pe Qurban Hogaya
Jannat Ka Uske Waaste Ailaan Hogaya.
Uth'te Hi Haath Unke Dua Hogayi Khubool
Chaaha Jise Wo Sahibe Imaan Hogaya.
Jo Sidqe Dil Se Aapka Midhath Saraa Hua
Aisa Gada -E- Raah Bhi Sultan Hogaya.
Aaqa Tumhari Baat Ka Kaise Na Ho Asar
Nikla Zubaan Se Lafz Jo Farmaan Hogaya.
Aye Khan Usko Azmate Daaim Hui Ataa
Jisko Rasoole Paak Ka Irfaan Hogaya.