Noor Kya Aalam Me Phaila Hai Rasoolallah Ka

Noor Kya Aalam Me Phaila Hai Rasoolallah Ka

Kalaam of Hazrat Parwarish Ali Hussaini (Shah) R.a

Noor Kya Aalam Me Phaila Hai Rasoolallah Ka
Dil Mera Parwana Shaida Hai Rasoolallah Ka.

Ta'at -E- Hazrath Ko Haq ne Apni Ta'at Kehdiya
Doston Kya Rutba Aala Hai Rasoolallah Ka.

Kis Tarah Saaya Ho Jisme Paak Ka Aye Mominon
Saaya -E- Allah Sarapa Hai Rasoolallah Ka.

Arsh Se Hai Afzal -O- Aala Bilaa Shak Doston
Jiss Zameen Par Jism Aala Hai Rasoolallah Ka.

Jalwaye Aali Se Dekho Koi Shai Khaali Nahin
Noor Kya Taqseem Paaya Hai Rasoolallah Ka.

Hai Haqeeqat Me Ahadees Aur Quran Ek Hi
Jo Kalaame Haq Wo Kehna Hai Rasoolallah Ka.

Kuch Nahin Hai Ranje Duniya Aur Na Qaufe Aaqirath
Do Jahan Pe Ham Pe Saaya Hai Rasoolallah Ka.

Baqshde Ya Rab Tu Apne Shah Ko Rauze Jaza
Iss Ne Rauza Jaake Dekha Hai Rasoolallah Ka.