Jab Wo Chehra Dikhayi Deta Hai

Jab Wo Chehra Dikhayi Deta Hai

Kalaam of Muzaffar Warsi Sahab

Jab Wo Chehra Dikhayi Deta Hai
Ishq Sajda Dikhayi Deta Hai

Kya Udhar Se Huzoor Guzre Hain
Chand Saaya Dikhayi Deta Hai.

Roraha Hai Ye Kaun Khalwath Me
Ghaar Sidrah Dikhayi Deta Hai.

Sange Aswad Ko Isliye Choomun
Unka Bosa Dikhayi Deta Hai.

Kis Qadar Mutmayin Hain Mere Huzoor
Ghar Me Faaqa Dikhayi Deta Hai.
Saara Quran "Ba Se Seen" Talak
Unka Khutba Dikhayi Deta Hai.

Kiske Naqshe Qadam Pe Chalta Hoon
Saaf Rasta Dikhayi Deta Hai.

Ba Khuda Kis Qadar Hayaath Afroz
Unka Rauza Dikhayi Deta Hai.

Saara Jugraafiya Muzaffar Ko
Unka Hujra Dikhayi Deta Hai.