Nematein Baant'ta Jiss Samt Wo Zeeshan Gaya
Nematein Baant'ta Jiss Samt Wo Zeeshan Gaya
Ye Wo Sach Hai Ke Jise Ek Jahan Maan Gaya
Dar Pe Aaya Jo Gada Banke Wo Sultan Gaya
Uske Andaaz -E- Nawazish Ke Mai Qurban Gaya
Nematein Baant'ta Jiss Samt Wo Zeeshan Gaya
Saath Hi Munshi-e Rahmath Ka Qalam Daan Gaya.
Tujhse Jo Pher Ke Mu Jaanibe Quran Gaya
Surkhuru Hoke Na Duniya Se Wo Insaan Gaya
Kitne Gustaq Bane Kitnon Ka Imaan Gaya
Le Qabar Jald Ke Auron Ki Taraf Dhyaan Gaya
Mere Maula Mere Aaqa Tere Qurbaan Gaya.
Mehwe Nazzaara Sare Gumbade Khazra Hi Rahi
Door Se Sajda Guzaare Dare Waala Hi Rahi
Rubaru Paake Bhi Mehroome Tamasha Hi Rahi
Aah Wo Aankh Jo Nakaame Tamanna Hi Rahi
Haaye Wo Dil Jo Tere Dar Se Pur Armaan Gaya.
Teri Chahat Ka Amal Zeest Ka Manshoor Raha
Teri Dehleez Ka Phera Mera Dastoor Raha
Ye Alag Baat Ke Tu Aankh Se Mastoor Raha
Dil Hai Wo Dil Jo Teri Yaad Se Mamoor Raha
Sar Hai Wo Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya.
Dosti Se Koi Matlab Na Mujhe Baeir Se Kaam
Unke Sadqe Me Kisi Se Na Pada Khair Se Kaam
Unka Shaida Hoon Mujhe Kya Haram -O- Dair Se Kaam
Unhe Jaana Unhe Maana Na Rakha Ghair Se Kaam
Lillahil Hamd Mai Duniya Se Muslmaan Gaya.
Ehterame Nabawi Daaqil -E- Aadath Na Sahi
Sheer -E- Maadar Me Aseelon Ki Najabat Na Sahi
Ghar Me Aadab -E- Risalath Ki Riwayath Na Sahi
Aur Tum Par Mere Aaqa Ki Inayath Na Sahi
Najdiyon Kalma Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya.
Baam -E- Maqsad Pe Tamannaon Ke Zeene Pohonche
Labe Saahil Pe Naseer Unke Safeene Pohonche
Jinko Khidmath Me Bulaya Tha Nabi Ne Pohonche
Jaano Dil Hosho Qirad Sab To Madine Pohonche
Tum Nahi Chalte Raza Saara To Samaan Gaya.
----------------
Aaj Le Unki Panah Aaj Madad Maang Unse
Phir Na Maanenge Qayamath Me Agar Maan Gaya.
Uff Re Munkir Ye Bada Joshe Ta'assub Aaqir
Bheed Me Haath Se Kambakht Ka Imaan Gaya.