Maujza Mere Nabi Ka Kehdiya To Hogaya

Maujza Mere Nabi Ka Kehdiya To Hogaya

Maujza Mere Nabi Ka Kehdiya To Hogaya
Aapne Qatre Ko Dariya Kehdiya To Hogaya.

Haath Me Talwaar Lekar Aaye Jab Hazrath Omer
Aa Mere Daman Me Aaja Kehdiya To Hogaya.

Aabdeeda The Ba Waqte Asr Jab Hazrath Ali
Doobe Suraj Ko Nikaljaa Kehdiya To Hogaya.

Masjide Nabawi Me Ghar Se Aapke Mimbar Talak
Aapne Jannat Ka Tukda Kehdiya To Hogaya.

Badr Ke Maidan Me Kuffar Ki Jaaye Amwaad
Jis Jagah Tha Jisko Marna Kehdiya To Hogaya.

Mustafa Ko Hai Khuda Se Pyaar Kitna Dekhiye
Khana -E- Kaaba Ko Qibla Kehdiya To Hogaya.

Billiyon Par Unki Shafaqqat Aur Muhabbat Dekhkar
Mustafa Ne Bu Huraira Kehdiya To Hogaya.

Naam Lekar Mustafa Ka Haath Me Lekar Qalam
Maine Ajmal Ek Qasida Kehdiya To Hogaya.