Aye Saba Sabab Kya Hai Kuch Bata Madine Ka

Aye Saba Sabab Kya Hai Kuch Bata Madine Ka

Aye Saba Sabab Kya Hai Kuch Bata Madine Ka
Jo Gaya Madine Me Hogaya Madine Ka.

Saahile Samandar Par Yoon Uchal Ke Aati Hain
Machliyan Bhi Takti Hain Raasta Madine Ka.

Khuld Bhi Dulhan Bankar Raaste Me Baithi Hai
Poochle Koi Aakar Kab Pata Madine Ka.

Zulf Apne Imaan Ki Tu Sawarle Jaakar
Karbala Me Rakkha Hai Aaina Madine Ka.

Iske Baad Aye Maula Kuch Na Maangenge Tujhse
Ek Safar Karade Bas Aye Khuda Madine Ka.

Aasman Ki Khwahish Hai Mai Zameen Banjaun
Jabse Usne Dekha Hai Martaba Madine Ka.