Kaabe Pe Padi Jab Pehli Nazar

Kaabe Pe Padi Jab Pehli Nazar

Kaabe Pe Padi Jab Pehli Nazar
Kya Cheez Hai Duniya Bhool Gaya
Yoon Hosh -O- Khirad Maflooj Hue
Dil Zauqe Tamasha Bhool Gaya.

Phir Rooh Ko Izne Raqs Mila
Khwabeeda Junoon Bedaar Hua
Talwon Ka Taqaza Yaad Raha
Nazron Ka Taqaza Bhool Gaya.

Ehsaas Ke Parde Lehraaye
Imaan Ki Hararat Tez Hui
Sajdon Ki Tadap Allah Allah
Sar Apna Hi Sauda Bhool Gaya.

Jis Waqt Dua Ko Haath Uthe
Yaad Aa Na Saka Jo Soncha Tha
Izhaare Aqidath Ki Dhun Me
Izhaare Tamanna Bhool Gaya.

Pohoncha Jo Haram Ki Chaukhat Tak
Ek Abre Karam Ne Gher Liya
Baaqi Na Raha Ye Hosh Mujhe
Kya Maang Liya Kya Bhool Gaya.

Har Waqt Barasti Hai Rehmath
Kaabe Me Jameel Allah Allah
Khaati Hoon Kitna Bhool Gaya
Aasi Hoon Mai Kitna Bhool Gaya.