Ho Karam Sarkar Ab To Hogaye Gham Beshumar
Ho Karam Sarkar Ab To Hogaye Gham Beshumar
Kalaam of Owais Raza Quadri
Ho Karam Sarkar Ab To Hogaye Gham Beshumar
Jaan -O- Dil Tumpar Fida Aye Do Jahan Ke Taajdar.
Mai Akela Aur Masa'il Zindagi Ke Beshumar
Aap Hi Kuch Kijiye Na Aye Shahe Aali Waqar.
Yaad Aata Hai Tawafe Khaana -E- Kaaba Mujhe
Aur Lipatna Multazam Se Waalihana Baar Baar.
Sange Aswad Choomkar Milta Mujhe Kaifo Suroor
Chain Paata Dekhkar Dil Mustajab -O- Mustajaar.
Ya Khuda Dikhla Hateem -E- Paak Meezabo Maqam
Aur Safa Marwa Mujhe Behre Rasoole Zeewaqar
Jaraha Hai Qafila Taiba Nagar Rota Hua
Mai Raha Jaata Hoon Tanha Aye Habib -E- Kirdgar.
Jald Phir Tum Lo Bula Aur Sab Gumbad Do Dikha
Haazri Ki Aarzu Ne Kardiya Phir Beqarar.
Choom Kar Khaake Madina Jhoomta Karta Tha Mai
Yaad Aate Hain Madine Ke Mujhe Laulo Nahar.
Gumbade Khazra Ke Jalwe Aur Wo Iftaariyan
Yaad Aati Hai Bohot Ramzane Taiba Ki Bahar.
Ya Rasoolallah Sunlije Meri Fariyad Ko
Kaun Hai Jo Ke Sune Tere Siwa Meri Pukaar.
Haal Par Mere Karam Ki Ek Nazar Farmaiyye
Dil Mera Ghamgeen Hai Aye Ghamzadon Ke Ghamgusar.
Khafile Waalon Suno Yaad Aaye To Mera Salaam
Arz Karna Rote Rote Hosake To Baar Baar.
Ghamzada Yoon Na Hua Hota Ubaide Quadri
Ek Baras Bhi Dekhta Gar Sabz Gumbad Ki Bahar.