Lau Madine Ki Tajalli Se Lagaye Hue Hain
Lau Madine Ki Tajalli Se Lagaye Hue Hain
Kalaam of Peer Naseer Uddin Naseer
Lau Madine Ki Tajalli Se Lagaye Hue Hain
Dil Ko Ham Matla -E- Anwaar Banaye Hue Hain.
Kashtiyan Apni Kinaare Se Lagaye Hue Hain
Kya Wo Doobe Jo Muhammad Ke Tiraaye Hue Hain.
Sharme Isyaan Se Nahi Saamne Jaaya Jaata
Ye Bhi Kya Kam Hai Tere Shehr Me Aaye Hue Hain.
Ek Jhalak Aaj Dikha Gumbade Khazra Ke Makeen
Kuch Bhi Hai Door Se Deedar Ko Aaye Hue Hain.
Kaash Deewana Banalein Wo Hamein Bhi Apna
Ek Duniya Ko Jo Deewana Banaye Hue Hain.
Haziro Naziro Nooro Basharo Ghaib Ko Chor
Shukr Kar Wo Tere Aibon Ko Chupaye Hue Hain.
Allah Allah Madine Pe Ye Jalwon Ki Phunwaar
Baarishe Noor Me Sab Log Nahaye Hue Hain.
Naam Aate Hi Abu Bakr -O- Umar Ka Lab Par
Tu Bigadta Hai Wo Pehlu Me Sulaaye Hue Hain.
Qabr Ki Neend Se Uthna Koi Aasan Na Tha
Ham To Mehshar Me Unhe Dekhne Aaye Hue Hain.
Sar Pe Rakhdije Zara Daste Tasalli Aaqa
Gham Ke Maare Hain Zamane Ke Sataye Hue Hain.
Teri Nisbath Hi To Hai Jiski Badaulath Hum Log
Kufr Ke Daur Me Imaan Bachaye Hue Hain.
Kyun Na Palda Tere Aamal Ka Bhaari Ho Naseer
Ab To Meezan Pe Sarkar Bhi Aaye Hue Hain...