Jaa Zindagi Madine Se Jhonke Hawa Ke Laa

Jaa Zindagi Madine Se Jhonke Hawa Ke Laa

Kalaam of Muzaffar Warsi Sahab

Jaa Zindagi Madine Se Jhonke Hawa Ke Laa
Shayad Huzoor Hamse Khafa Hain Mana Ke Laa.

Kuch Ham Bhi Apna Chehraye Baatin Sawaarlein
Bu Bakr Se Kuch Aayine Sidqo Safa Ke Laa.

Duniya Bohot Hi Tang Musalmaan Pe Hogayi
Farooq Ke Zamane Ke Naqshe Utha Ke Laa.

Mehroom Kardiya Hame Jinse Nigaah Ne
Usman Se Zaawiye Zara Sharm -O- Haya Ke Laa.

Maghrib Me Maara Maara Na Phir Aye Gadaye Ilm
Darwaza -E- Ali Se Ye Khairat Jaa Ke Laa.

Baatil Se Dab Rahi Hai Phir Ummat Rasool Ki
Manzar Zara Hussain Se Kuch Karbala Ke Laa.

Karna Hai Apne Aapko Aarasta Agar
Kirdaar Apne Saamne Sab Auliya Ke Laa.

Ye Jange Kufr -O- Haq Hai Agar Tujhko Jeetni
Har Naujawan Ko Qasim -O- Taariq Bana Ke Laa.

Sajde Me Gidgidaa Ya Muhammad Ke Pair Padh
Jaa Aur Jald Rehmate Haq Ko Bula Ke Laa.

Kis Mu Se Pesh Hoga Muzaffar Huzoore Haq
Kisko Shaheede Uswaye Aaqa Bana Ke Laa.