Ghouse -E- Aazam Ka Darbar
Ghouse -E- Aazam Ka Darbar
Ghouse -E- Aazam Ka Darbar
Allah Allah Kya Kehna
Baghdadi Noori Bazaar
Allah Allah Kya Kehna.
Tum Ho Hamare Ham Hai Tumhare
Tum Ho Nabi Ke Pyaare
Har Mushkil Me Ghouse -E- Aazam
Toot'te Dil Ke Sahaare
Ujdon Ko Karde Gulzaar
Allah Allah Kya Kehna.
Qutub Auliya Ghouse Qalandar
Ek Se Ek Hain Badhkar
Saare Auliya Denge Salaami
Jaayenge Ghouse Ke Dar Par
Wo Hai Waliyon Ke Sardaar
Allah Allah Kya Kehna.
Chor Ko Pal Me Wali Banaya
Nazar Se Bigdi Banaayi
Doobi Kashti Baara Baras Ki
Pal Me Paar Lagaayi
Budhiya Kehti Thi Har Baar
Allah Allah Kya Kehna.
Chaahe Jahan Ho Unko Pukaaro
Wo Aayenge Fauran
Aise Aaqa Par Mai Fida Hoon
Aur Fida Ye Tan Man
Aapki Oonchi Hai Sarkaar
Allah Allah Kya Kehna.
Aise Ghouse Ka Hai Ye Hafiz
Choote Na Haath Se Daaman
Bigde Kaam Banaye Aaqa
Qurban Unpe Tan Man
Wo Karte Hain Beda Paar
Allah Allah Kya Kehna.