Mera Nabi Lajawab Hai

Mera Nabi Lajawab Hai

Nabiyon Me Gulaab Hai
Rashke Mahtaab Hai
Rab Ka Inteqaab Hai
Mera Nabi Lajawab Hai.

Damaad Jinka Shere Khuda Buturaab Hai
Barkat Karam Shifa Ka Khazina Luaab Hai
Jinke Ghulaam Shahon Ki Azmath Ko Maat Den
Kya Shaan Unki Jinka Pasina Gulaab Hai.

Yaseen -O- Taha Naam Hai Jinke Quran Me
Ash'aar Kya Sunaun Mai Unke Bayaan Me
Wohi Hai Muzammil Ha Mudassir Bhi Wohi Hai
Taaqat Kahan Se Laaun Mai Apni Zubaan Me.

Shaqqul Qamar Ka Maujza Qurban Jaiyye
Toota Hua Dil Jodhne Iss Dar Pe Aaiyye
Wo Jaante Hai Dil Me Chupe Raaz Hamare
Sab Milke Zara Josh Me Naara Lagaiyye.

Hai Meem Ye Kehta Ke Muhammad Hi The Dulha
Hai A'yn Ka Kehna Ke Safar Arsh Ka Wo Tha
Raa Se To Thi Ek Raat Alif Kehta Hai Allah
Ye Jeem Kahe Jaagte Dekha Tha Wo Jalwa.

Rizwan Kya Bayaan Kare Shaan Tumhari
Khud Sahibe Quran Kare Madha Tumhari
Al Hamd Se Wan Naas Talak Padhte Jaaiyye
Har Nuqtaye Quran Kahe Naat Tumhari.