Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai
Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai
Jaan -O- Dil Qurban Hai Wo To Aashiqon Ki Jaan Hai
Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai.
Mera Ghar Aulaad -O- Jaan Mehboob Par Qurban Hai
Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai..
Chand Ke Tukde Kiye Suraj Phiraya Aapne
Kankari Be Jaan Thi Kalma Padhaya Aapne
Maalik -O- Muqthar Aaqa Kaisa Wo Zeeshan Hai.
Zulf Hai Wallail Unki Waz Zuha Ruqsaar Hai
Khulq Hai Unka Azeem Quran Ka Shi'aar Hai
Warafa'ana Laka Zikrak Rab Ka Ye Farman Hai.
Ungliyan Kaati Jinhone Husne Yousuf Dekhkar
Dekhlete Wo Agar Mere Nabi Ko Ek Nazar
Pher Leti Dil Pe Churiyan Ye Mera Imaan Hai.
Kya Bayaan Ho Shaan Hamse Mustafa Ke Aal Ki
Dilbare Maula Ali Ki Fatima Ke Laal Ki
Fatima Hasnain -O- Haidar Mustafa Ki Jaan Hai.
Ek Hirni Phasgayi Sayyaad Ke Jab Jaal Me
Dekh Kar Aaqa Ko Boli Wo Zubaane Haal Me
Kardiya Aazaad Kya Sarkar Ka Farmaan Hai.
Har Ghadi Anwaar -O- Rehmath Ki Wahan Barsaat Hai
Jis Jagah Par Jalwa Farma Mustafa Ki Zaat Hai
Nikle Dam Taiba Me Maula Ye Mera Armaan Hai.
Iss Jahan Me Jis Qadar Bhi Khoob Ru Insaan Hai
Wo Sabhi Unke Qadam Ki Dhool Par Qurban Hai
Aapke Jalwon Ko Rizwan Dekh Kar Hairan Hai.