Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa
Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa
Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa
Apni Ulfath Me Jilaao Aaqa.
Shouqe Deedar Me Soun Jis Shab
Apna Deedar Karaao Aaqa.
Mere Dil Ki Hai Tamanna Har Dam
Apna Ghar Isko Banaao Aaqa.
Fikre Duniya Me Na Aansu Nikle
Apni Ulfath Me Rulaao Aaqa.
Hubbe Duniya Se Bachana Mujhko
Mujhko Apna Hi Banaao Aaqa.
Jitne Momin Hai Pareshaan Daata
Sabki Bigdi Ko Banaao Aaqa.
Aakhri Dam Bhi Adaa Ho Sunnat
Peer Ke Din Jo Qaza Ho Aaqa.
Dil Tadapta Hai Huzoori Ko Huzoor
Sadqe Murshid Ke Bulaao Aaqa.
Mujhko Phir Dushmanon Ne Ghera Hai
Apne Daman Me Chupaao Aaqa.
Shakire Razvi Hai Aasi Shaaha
Mushda Baqshish Ka Sunaao Aaqa.