Madine Ka Safar Hai Aur Mai Namdeeda

Madine Ka Safar Hai Aur Mai Namdeeda

Madine Ka Safar Hai Aur Mai Namdeeda Namdeeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeeda Laghzeeda.

Chala Hoon Ek Mujrim Ki Tarah Mai Jaanibe Taiba
Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeeda Larzeeda.

Kisi Ke Haath Ne Mujhko Sahara Dediya Warna
Kahan Mai Aur Kahan Ye Raaste Pe Cheeda Pe Cheeda.

Kahan Mai Aur Kahan Us Rauzae Aqdas Ka Nazara
Nazar Us Simt Uthti Hai Magar Duzdeeda Duzdeeda.

Ghulamane Muhammad Door Se Pehchane Jaate Hai
Dile Girweeda Girweeda Sare Shoureeda Shoureeda.

Madine Jaake Ham Samjhe Taqaddus Kisko Kehte Hain
Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjeeda Sanjeeda.

Basarat Khogayi Lekin Basirat To Salamat Hai
Madina Ham Ne Dekha Hai Magar Na Deeda Na Deeda.

Meri Deewangi Ki Tum Khudara Laaj Rakhlena
Tumhari Anjuman Me Hai Sabhi Sanjeeda Sanjeeda.

Tawafe Koonchae Jaana Ke Qabil Kaun Samjhega
Mera Ehrame Hasti Dekhkar Poseeda Poseeda.

Wohi Iqbal Jisko Naaz Tha Kal Khushmizaji Par
Firaqe Taiba Me Rehta Hai Ab Ranjeeda Ranjeeda.