Ye Nazzaare Ye Sab Mausam Suhaane

Ye Nazzaare Ye Sab Mausam Suhaane

Ye Nazzaare Ye Sab Mausam Suhaane Baad Me Aaye
Wo Pehle The Magar Jalwa Dikhane Baad Me Aaye

Khuda Ke Baad Thi Hasti Faqat Zahra Ke Baba Ki
Rasoolon Aur Nabiyon Ke Zamane Baad Me Aaye.

Wo Naana Ki Zubaan Ko Chooskar Sairaab The Kab Ke
Yazeedi Nehr Par Pehra Lagaane Baad Me Aaye.

Rasoole Paak Ke Aage Na Thi Jurrat Kisi Ki Bhi
Milade Paak Par Fatwe Lagaane Baad Me Aaye.

Sahaba Saare Ke Saare Mere Aaqa Ke Aashiq The
Ye Sab Munkir Khwaarij Sab Ladaane Baad Me Aaye.