Deen -E- Haq Pe Sayyada Ke Laal Ka Ehsaan Hai
Deen -E- Haq Pe Sayyada Ke Laal Ka Ehsaan Hai
Kalaam of Nisar Ali Ujagar
Khwaja E Ajmer Ka Hamne Suna Farmaan Hai
Deen -E- Haq Pe Sayyada Ke Laal Ka Ehsaan Hai.
Padhrahe Ho Jo Namazein Karrahe Ho Hajj Adaa
Raunaqe Ramzan Aur Manzar Hai Jo Khairat Ka
Sadqaye Shabbir Hai Islaam Ka Ailaan Hai
Deen -E- Haq Pe Sayyada Ke Laal Ka Ehsaan Hai.
Dekhlo Tareeqe Aalam Kiska Ye Kirdaar Hai
Ghar Lutaaya Sar Kataya Kaisa Ye Salaar Hai
Sab Shaheedon Me Hussain Ibne Ali Sultaan Hai
Deen -E- Haq Pe Sayyada Ke Laal Ka Ehsaan Hai.
Malika -E- Khulde Bareen Se Aurton Ka Hai Waqaar
Madaare Shabbir Teri Parwarish Ki Hai Bahaar
Aaj Jo Mazboot Mera Mazhabo Imaan Hai
Deen -E- Haq Pe Sayyada Ke Laal Ka Ehsaan Hai.
Neze Pe Ibne Ali Jo Marde Aalishaan Hai
Katgaya Hai Sar Magar Padhta Raha Quran Hai
Sonch Ke Har Ek Yazeedi Aaj Bhi Hairaan Hai
Deen -E- Haq Pe Sayyada Ke Laal Ka Ehsaan Hai.
Faisla Karlo Ujaagar Saath Ho Kiske Khade
Hai Hussaini Saf Ba Saf Aur Phir Yazeedi Aagaye
Karbala Ka Sajgaya Lo Aaj Bhi Maidaan Hai
Deen -E- Haq Pe Sayyada Ke Laal Ka Ehsaan Hai.