Muflise Zindagi Ab Na Samjhe Koi

Muflise Zindagi Ab Na Samjhe Koi

Kalaam of Muzaffar Warsi Sahab

Muflise Zindagi Ab Na Samjhe Koi
Mujhko Ishqe Nabi Iss Qadar Milgaya
Jagmagaye Na Kyun Mera Akse Duroon
Ek Patthar Ko Aayina Gar Milgaya.

Jiski Rehmath Se Taqdeere Insaan Khul
Uski Jaanib Hi Darwazaye Jaan Khule
Jaane Umre Rawaan Leke Jaati Kahan
Khair Se Mujhko Khairul Bashar Milgaya.

Mehware Do Jahan Zaat Sarkar Ki
Aur Meri Haisiyath Ek Purkaar Ki
Uski Ek Rahguzar Tay Na Ho Umr Bhar
Khibla -E- Aarzu To Magar Milgaya.

Unka Deewana Hoon Unka Majzoob Hoon
Kya Ye Kam Hai Ke Mai Unse Mansoob Hoon
Sarhad -E- Hashr Tak Jaaunga Be Dhadak
Mujhko Itna To Zaade Safar Milgaya.

Jis Taraf Se Bhi Guzrein Meri Khwahishein
Mujhse Bachkar Nikalti Rahein Laghzishein
Jab Jhukayi Nazar Jhukgaya Mera Sar
Naqshe Paa Uska Har Mod Par Milgaya.

Zehn Be Rang Tha Saans Be Roop Thi
Rooh Par Maasiyath Ki Kadi Dhoop Thi
Uski Chashme Ghani Raunaqe Jaan Bani
Chaaun Jiski Ghani Wo Shajar Milgaya.

Jabse Mujhpar Hua Mustafa Ka Karam
Bangaya Dil Muzaffar Charaghe Haram
Zindagi Phirrahi Thi Bhatakti Hui
Meri Khaana Badoshi Ko Ghar Milgaya.