Nahi Ab Aapki Furqat Ka Yaara Ya Rasoolallah

Nahi Ab Aapki Furqat Ka Yaara Ya Rasoolallah

Kalaam of Layeeq

Nahi Ab Aapki Furqat Ka Yaara Ya Rasoolallah
Karam Farmaiye Ham Par Khudara Ya Rasoolallah.

Tumhare Hi Karam Ka Hai Sahara Ya Rasoolallah
Ye Saari Zindagi Ehsaan Tumhara Ya Rasoolallah.

Kuch Apna Dijiye Sadqa Khudara Ya Rasoolallah
Kuch Apne Shaahzadon Ka Utaara Ya Rasoolallah.

Ba Har Manzar Ba Har Jalwa Ba Har Taqdeer Hai Mujhko
Ba Har Surath Tumhara Hi Nazaara Ya Rasoolallah.

Ghareebon Bekason Sab Ki Nigahein Aap Hi Par Hain
Sabhi Ka Aap Hain Wahid Sahara Ya Rasoolallah.

Ta'alluq Apna Apna Hai Muhabbath Apni Apni Hai
Baja Hai Jis Kisi Ne Bhi Pukaara Ya Rasoolallah.

Agar Che Baarha Dekha Magar Na Deeda Hoon Phir Bhi
Hai Dilkash Iss Qadar Rauza Tumhara Ya Rasoolallah.

Nahi Hoon Door Qadmon Se Magar Jab Yaad Aate Ho
Kahun Kya Kaise Hota Hai Guzaara Ya Rasoolallah.

Ba Har Manzil Layeeq -E- Benawa Ke Haq Me Kaafi Hai
Tumhari Chashme Rehmath Ka Sahara Ya Rasoolallah.