Zulmaton Me Jagmagaya Ya Ali Kehne Ke Baad

Zulmaton Me Jagmagaya Ya Ali Kehne Ke Baad

Kalaam of Ismail Quadri

Zulmaton Me Jagmagaya Ya Ali Kehne Ke Baad
Rehmaton Ka Abr Chaaya Ya Ali Kehne Ke Baad.

Wo Hai Kazib Wo Munafiq Wo Harami Hai Bada
Jisne Apna Mu Chidhaya Ya Ali Kehne Ke Baad.

Chashni Aisi Rakhi Rab Ne Ali Ke Naam Me
Muztarib Dil Chain Paaya Ya Ali Kehne Ke Baad.

Kaise Na Banta Bhala Mera Jigar Faulad Ka
Doodh Jo Maa Ne Pilaya Ya Ali Kehne Ke Baad.

Waqte Aakhir Peeche Murshid Saamne Sarkar Hom
Aur Nikle Dam Khudaya Ya Ali Kehne Ke Baad.

Kaifo Masti Ka Hai Aalam Raat Din Ab To Qadeer
Peer Ne Aisa Pilaya Ya Ali Kehne Ke Baad.