Maahe Madina Wo Shaahe Waala
Maahe Madina Wo Shaahe Waala
Kalaam of Peer Naseer Uddin Naseer
Maahe Madina Wo Shaahe Waala
Hai Jiske Dam Se Jag Me Ujaala.
Sab Ka Mu'allim Aisa Ek Ummi
Ustaad Jiska Khud Haq Ta'ala.
Ummat Me Jiski Thehra Barabar
Adna Se Adna Aala Se Aala.
Zarbat Se Tauheed Ki Jisne Toda
Shirke Jali Ka Mazboot Taala.
Rote Huwon Ko Jisne Hasaya
Girte Huwon Ko Jisne Sambhala.
Jisko Umar Ne Bas Dediya Dil
Jaancha Na Parkha Dekha Na Bhaala.
Paiwasta Baaham Mehrabe Abru
Wo Girte Aariz Zulfon Ka Haala.
Har Lamha Jiska Oola Se Aula
Har Aan Me Jo Baala Se Baala.
Dekha Na Ab Tak Chashme Falak Ne
Aisa Anokha Aisa Niraala.
Imaan -O- Taqwa Miyaare Izzath
Wajhe Fazilath Gora Na Kaala.
Kunje Lahad Ho Pul Ho Ke Meezan
Har Jaa Chalega Tera Hawala.
Jisko Duboya Mauje Alam Ne
Thokar Se Tu Ne Usko Uchala.
Tera Bulaya Maqboole Daawar
Mardoode Yazdaan Tera Nikaala.
Paani Ke Hote Paani Ko Tarsa
Dil Bande Zahra Naazon Ka Paala.
Darbaan Jo Uljha Baabe Nabi Par
Usne Kaha Qum Mai Ne Kaha Laa.
Tujhko Naseer Ab Kya Khaufe Dozakh
Pul Par Khada Hai Khud Kamli Waala.