Sab Par Hai Ehsan Ali Ke Baba Ka
Sab Par Hai Ehsan Ali Ke Baba Ka
Sab Par Hai Ehsan Ali Ke Baba Ka
Deen -E- Nabi Unwaan Ali Ke Baba Ka.
Jis Ka Namak Haq Meher Me Aaya Zahra Ke
Jis Pe Pale Hain Paalne Waale Duniya Ke
Hai Wo Dastarkhwan Ali Ke Baba Ka.
Nau Zilhajj Ko Choomne Jaati Hai Duniya
Chakkar Uske Ghar Ke Lagati Hai Duniya
Hai Ye Pata Aasan Ali Ke Baba Ka.
Farshe Zameen Par Kaare Khudayi Karta Kaun
Aqde Khadija Aur Muhammad Padhta Kaun
Ye Bhi Hai Ehsan Ali Ke Baba Ka.
Jaisa Hua Tha Arsh Pe Aqde Zahra Me
13 Rajab Waise Hi Sehne Kaaba Me
Jashn Ho Aalishaan Ali Ke Baba Ka.
Uski Zuban Se Pehle Lafz Nikalte Hain
Phir Jaakar Al Hamd Ki Aayath Bante Hain
Qaari Hai Quran Ali Ke Baba Ka.
Jao Jahannam Tum Sab Ki Aisi Taysi
Manwalega Aakar Tumse Khud Mehdi
Mat Maano Ehsan Ali Ke Baba Ka.
Jannat Se Malboos Kahan Wo Laaya Tha
Eidi Lekar Daada Ki Wo Aaya Tha
Naukar Tha Rizwan Ali Ke Baba Ka.