Ashkon Ki Guzarish Hai Ye Sarkare Madina

Ashkon Ki Guzarish Hai Ye Sarkare Madina

Gar Tum Na Sunoge To Meri Kaun Sunega
Gar Tum Na Karoge To Karam Kaun Karega
Taale Se Bhikari Na Tala Hai Na Talega
Jholi Ko Meri Tere Siwa Kaun Bharega.

Ashkon Ki Guzarish Hai Ye Sarkare Madina
Hojaye Mayassar Kabhi Deedare Madina.

Be Daam Yahan Bikte Hain Yousuf Ke Kharidaar
Bazaare Madina Hai Ye Bazaare Madina.

Bulwayeinge Mujhko Bhi Shahinshahe Do Aalam
Dekhunga Kabhi Aankhon Se Anwaare Madina.

Har Ghuncha -O- Gul Par Hai Fida Tal'ate Firdaus
Dekho To Zara Nik'hate Gulzaare Madina.

Meraj -E- Basarat Ise Kahiye Ke Na Kahiye
Aate Hain Nazar Door Se Minaare Madina.

Uqba Me Har Ek Gham Se Mai Aazad Rahunga
Duniya Me Jo Faazil Hoon Giraftaare Madina.

Girah...
Badi Umeed Hai Sarkar Qadmon Me Bulayeinge
Karam Ki Jab Nazar Hogi Madine Ham Bhi Jayeinge
Agar Jaana Madine Me Hua Ham Gham Ke Maaron Ka
Makeene Gumbade Khazra Ko Haale Dil Sunayeinge.