Mai Koyal Mera Baagh Madina

Mai Koyal Mera Baagh Madina

Mai Koyal Mera Baagh Madina, Salle Alaa Meri Koo
Rehmate Aalam Ke Sadqe Me, Udti Phirun Har Soo.

Udti Phirun Mai Shaam Sawere, Geet Nabi Ke Gaaun
Yaad Jab Aaye Taiba Nagariya, Pal Pal Neer Bahaun
Aapke Naghmon Se Hota Hai Dil Mera Masroor.

Kya Nabiyan Kya Waliyan Tum To, Sab Ke Ho Lajpaal
Har Kangaal Ko Kardete Ho, Pal Me Malamaal
Tumri Inayath Tumri Saqawat, Har Jag Me Mashoor.

Mai Hoon Bhikaran Tum Ho Daata, Ham Pe Karam Farmao
Apni Nagariya Me Bulwa Ke, Soye Bhaag Jagao
Sadqa Ali Hasnain -O- Zahra, Arzi Ho Manzoor.

Koi Nahi Sansaar Me Mora, Tumre Bina More Aaqa
Mai Hoon Ghareeb Abhagan Hoon Mai, Tum Ho Ghareeb Nawaz
Daya Karo Yameer Pe Daata, Ye Hai Chakna Choor.