Har Waqt Tasawwur Me Madine Ki Gali Ho

Har Waqt Tasawwur Me Madine Ki Gali Ho

Har Waqt Tasawwur Me Madine Ki Gali Ho
Aur Yaad Muhammad Ki Mere Dil Me Basi Ho.

Girah...
Bulalo Phir Mujhe Aye Shaahe Behrobar Madine Me
Mai Phir Rota Hua Aaun Tere Dar Par Madine Me.

Mai Pohonchun Kooe Jaana Me Gireban Chaak Seena Chaak
Girade Kaash Mujhko Shouq Tadpa Kar Madine Me.

Madine Jaane Waalon Jaao Jaao Fee Amanillah
Kabhi To Apna Bhi Lagjayega Bistar Madine Me.

Girah...
Jabeene Ijz Ke Sajde Lutakar Unke Koonche Me
Muqaddar Apna Chamkayenge Jaakar Unke Koonche Me

Kabhi Ham Gumbade Khazra Ko Dekhenge Kabhi Khud Ko
Nigahein Baar Baar Apni Uthakar Unke Koonche Me

Kisi Surat Yahan Par Ab Hamara Jee Nahi Lagta
Hame Baade Saba Lejaa Udaakar Unke Koonche Me.

Sher...
Aye Kaash Mai Banjaaun Madine Ka Musafir
Phir Roti Hui Taiba Ko Baraat Chali Ho.

Girah...
Ilaahi Rauzaye Khairul Bashar Par Mai Agar Jaaun
To Ek Sajda Karun Aisa Ke Hasti Se Guzar Jaaun

Najaate Aaqirath Ka Iss Qadar Samaan Karjaaun
Ke Taiba Jaake Ek Sajda Karun Sajde Me Marjaun.

Kabhi Rauze Se Mimbar Tak Kabhi Mimbar Se Rauze Tak
Idhar Jaaun Udhar Jaaun Usi Halaath Me Marjaun.

Najnagi Aye Khuda Aarzu Hai Yehi
Aur Aashiqe Zaar Ki Aabru Hai Yehi

Ke Maut Ke Baad Sar Unke Qadmon Me Ho
Deed Hoti Rahe Dam Nikalta Rahe.

Hai Tamanna Ye Ham Sab Ki Ya Rab
Unke Jalwon Me Yoon Maut Aaye
Ke Jhoom Kar Jab Gire Mera Laasha
Wo Thaamlein Badhke Shaahe Madina.

Sher...
Aye Kaash Madine Me Mujhe Maut Yoon Aaye
Qadmon Me Tere Sar Ho Meri Rooh Chali Ho.

Do Soz Bilaal Aaqa Mile Dard Raza Sa
Sarkar Ataa Ishq -E- Owaise Qarni Ho.

Phir Rehmate Baari Se Chalun Sooye Madina
Aye Kaash Muqaddar Se Mayassar Wo Ghadi Ho.

Jis Waqt Nakeerain Meri Qabr Me Aayein
Uss Waqt Mere Lab Pe Saji Naate Nabi Ho.

Allah Ki Rehmat Se To Jannat Hi Milegi
Aye Kaash Ke Qadmon Me Jagah Unke Mili Ho.

Aaqa Ka Gada Hoon Aye Jahannam Tu Bhi Sunle
Wo Kaise Jalein Jo Ke Ghulame Madani Ho.

Attar Hamara Hai Sare Hashr Ise Kaash
Daste Shahe Bat'ha Se Yehi Chitthi Mili Ho.