Kaash Mai Daure Payambar Me Uthaya Jaata
Kaash Mai Daure Payambar Me Uthaya Jaata
Kaash Mai Daure Payambar Me Uthaya Jaata
Ba Khuda Qadmon Me Sarkar Ke Paaya Jaata.
Saath Sarkar Ke Ghazwaat Me Shaamil Hota
Unki Nusrath Me Lahu Mera Bahaya Jaata.
Reth Ke Zarron Me Allah Badal Deta Mujhe
Phir Mujhe Raahe Muhammad Me Bichaya Jaata.
Khaak Hojata Mai Sarkar Ke Qadmon Ke Tale
Khaak Ko Khaake Madina Me Milaya Jaata.
Milke Sab Log Mujhe Matthyyi Se Gaada Karte
Phir Mujhe Masjide Nabawi Me Lagaya Jaaya.
Kaash Aye Kaash Mai Hota Koi Aisi Lakdi
Jisko Sarkar Ke Mimbar Me Lagaya Jaata.
Unke Rauze Ke Daro Baam Sajane Ke Liye
Rauzanon Me Meri Aankhon Ko Lagaya Jaata.
Laaya Jaata Sare Darbar Aseeron Ki Tarah
Hukm Pe Unke Mai Aazad Karaya Jaata.
Ya Utarta Mai Kisi Naat Ka Misra Bankar
Rubaru Unke Mai Unko Hi Sunaya Jaata.
Hote Uss Daur Ka Khissa Koi Noor -O- Farhan
Aaj Ke Daur Me Bacchon Ko Padhaya Jaata.