Dare Nabi Par Ye Umr Beete
Dare Nabi Par Ye Umr Beete
Kalaam of Khalid Mehmood Khalid Sahab
Dare Nabi Par Ye Umr Beete
Ho Ham Pe Lutfe Dawaam Aisa
Madine Waale Kahe Maqami
Ho Unke Dar Par Qayaam Aisa.
Bilal Tujhpar Nisaar Jaaun
Ke Khud Nabi Ne Tujhe Kharida
Naseeb Ho To Naseeb Aisa
Ghulaam Ho To Ghulam Aisa.
Namaz Aqsa Me Jab Padhai
To Ambiya Aur Rusul Ye Bole
Namaz Ho To Namaz Aisa
Imaam Ho To Imaam Aisa.
Labon Pe Naame Nabi Jab Aaya
Door Rez Paa Haadson Ko Paaya
Jo Taal Deta Hai Mushkilon Ko
Mere Nabi Ka Hai Naam Aisa.
Hai Jitne Aqlo Khirad Ke Daave
Kab Unke Garde Safar Ko Pohonche
Koi Bhi Ab Tak Samajh Na Paaya
Hai Mustafa Ka Maqaam Aisa.
Hussain Qurra Ke Hai Wo Qari
Jo Noke Neza Pe Hai Ye Bole
Siwa Khuda Ke Na Sar Jhukana
Diya Jahan Ko Payaam Aisa.
Mai Khalid Apne Nabi Pe Qurban
Hai Jinka Khulqe Azeem Quran
Hai Roshni Jiski Do Jahan Me
Yahi Hai Maahe Tamaam Aisa.