Ajab Rang Par Hai Bahare Madina
Ajab Rang Par Hai Bahare Madina
Ajab Rang Par Hai Bahare Madina
Ke Sab Jannatein Hain Nisaare Madina
Sarkar Ka Madina Sarkar Ka Madina
Sarkar Ka Madina Sarkar Ka Madina. (x8)
Main Pehle Pehel Jab Madine Gaya Tha
To Thi Dil Ki Haalat Tadap Jaane Waali
Wo Darbar Sach Much Me Saamne Tha
Abhi Tak Tasawwur Tha Jiska Khayaali.
Mai Ek Haath Se Dil Sambhale Hue Tha
To Thi Doosre Haath Me Unki Jaali
Dua Ke Liye Haath Uthte To Kaise
Na Ye Haath Khaali Na Wo Haath Khaali.
Khula Hai Sabhi Ke Liye Baabe Rehmath
Wahan Koi Rutbe Me Adna Na Aali
Muradon Se Daman Nahi Koi Khaali
Qatare Lagaye Khade Hain Sawaali.